اردو हिंदी
Badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga | Shaahi Shayari
badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga

Ghazal

Badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga

Abdul Mannan Samadi

;

badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga
ki peDon par parindon ka Thikana bhi nahin hoga

baha le jaengi maujen kitab-e-zindagani ko
sunane ke liye koi fasana bhi nahin hoga

nawah-e-jaan mein ek din tum utar kar dekh bhi lena
tumhaare pas yaadon ka KHazana bhi nahin hoga

tasawwur ki hadon se dur ja kar kaise dekhenge
agar tum se talluq ghaebana bhi nahin hoga

khula dar chhoD aae the ki hijrat ka taqaza tha
wahan kya lauT kar jaen Thikana bhi nahin hoga