badal ke rakh denge ye tasawwur ki aadmi ka waqar kya hai
KHala mein wo chand nachta hai zaman makan ka hisar kya hai
bahak gae the sambhal gae hain sitam ki had se nikal gae hain
hum ahl-e-dil ye samajh gae hain kashakash-e-rozgar kya hai
abhi na puchho ki lala-zaron se uTh raha hai dhuan wo kaisa
magar ye dekho ki phul banne ka aarzu-mand KHar kya hai
wahi bane dushman-e-tamanna jinhen sikhaya tha hum ne jina
agar ye puchhen to kis se puchhen ki dosti ka shiar kya hai
kabhi hai shabnam kabhi sharara falak se TuTa to ek tara
gham-e-mohabbat ke raazdaro ye gauhar-e-abdar kya hai
bahaar ki tum nai kali ho abhi abhi jhum kar khili ho
magar kabhi hum se yunhi puchho ki hasraton ka mazar kya hai
ba-in tabahi dikhae hum ne wo moajize aashiqi ke tum ko
ba-in adawat kabhi na kahna ki aap sa KHaksar kya hai
bane koi ilm o fan ka malik ki main hun rah-e-wafa ka salik
nahin hai shohrat ki fikr 'baqar' ghazal ka ek raazdar kya hai
Ghazal
Badal ke rakh denge ye tasawwur ki aadmi ka waqar kya hai
Baqar Mehdi