badal ke hum ne tariqa KHat-o-kitabat ka
chhupa liya hai zamane se raaz ulfat ka
purana zaKHm naya ho gaya to kya hoga
na phenko tir hamari taraf ko nafrat ka
bahaar aai thi chehre pe chaar din ke liye
nasha hai aaj bhi aaankhon mein us latafat ka
kabhi to aao hamare gharib-KHane par
hamein bhi dijiyo mauqa janab KHidmat ka
bahut sambhaal ke rakhna use hifazat se
khilauna TuT na jae meri mohabbat ka
ye musht-e-KHak jo insan ki haqiqat hai
tamasha dekh raha hun main is ki fitrat ka
hamare zarf ko nazron se tol kar 'arif'
uTha raha hai wo tufan ek qayamat ka
Ghazal
Badal ke humne tariqa KHat-o-kitabat ka
Syed Arif Ali u0027Arifu0027