badal ke dekh liye zawiye uDanon ke
KHirad se tai na hue fasle zamanon ke
samundaron ke tamawwuj, nahang, wusaten, KHauf
kahan pe hausle TuTe hain baadbanon ke
falak se roz utarte hain raushni ke KHutut
magar na chamke muqaddar gharib-KHanon ke
KHizan ka zahr sarayat hua hai rag rag mein
gulab-chehre hue zard gulsitanon ke
tulu-e-subh ke aasar ufuq pe hain shayad
charagh bujhne lage hain itab-KHanon ke
kiran ka neza liye hath mein chalo 'ashraf'
hain dew raste mein barf ki chaTanon ke
Ghazal
Badal ke dekh liye zawiye uDanon ke
Ashraf Javed