badal ke bhes wo chehra kahan kahan na mila
talash jis ki thi wo husn-e-jawedan na mila
khaDa hun kab se sar-e-rahguzar-e-waqt nadim
main jis ke sath chalun aisa karwan na mila
KHizan guzar gai lekin gulon ke rang hain zard
bahaar ko sila-e-KHun-e-kushtagan na mila
kahan se zehn mein chhup chhup ke wahm aate hain
kabhi yaqin ko suragh-e-rah-e-guman na mila
main ahl-e-fikr ki basti bhi raund aaya hun
kahin koi gham-e-hasti ka raazdan na mila
kuchal ke yaad ki lashen guzar gaya gham-e-dahr
main DhunDhta raha zaKHmon ka bhi nishan na mila
utar ke dekh chuka rang ke jaziron mein
tere shabab ka wo rang-e-arghawan na mila
Ghazal
Badal ke bhes wo chehra kahan kahan na mila
Ehtisham Husain