badal jaega sab kuchh ye tamasha bhi nahin hoga
nazar aaega wo manzar jo socha bhi nahin hoga
har ek lamha kisi shai ki kami mahsus bhi hogi
kahin bhi dur tak koi KHala sa bhi nahin hoga
wo aankhen bhi nahin hongi kahen jo an-kahi baaten
hawa mein sabz aanchal ka wo lahra bhi nahin hoga
simaT jaegi duniya saat-e-imroz mein ek din
shumar-e-zist mein diroz o farda bhi nahin hoga
magar qad roz o shab ka dekh kar hairan sab honge
madar apna zamin ne garche badla bhi nahin hoga
ajab viraniyan aabaad hongi qarya-dar-qarya
shajar shaKHon pe chiDiyon ka basera bhi nahin hoga

Ghazal
Badal jaega sab kuchh ye tamasha bhi nahin hoga
Shahram Sarmadi