badal gaya hai sabhi kuchh us ek saat mein
zara si der hamein ho gai thi ujlat mein
mohabbat apne liye jin ko muntaKHab kar le
wo log mar ke bhi marte nahin mohabbat mein
main jaanta hun ki mausam KHarab hai phir bhi
koi to sath hai is dukh-bhari masafat mein
use kisi ne kabhi bolte nahin dekha
jo shaKHs chup nahin rahta meri himayat mein
badan se phuT paDa hai tamam umr ka hijr
ajib haal hua hai teri rifaqat mein
mujhe sambhaalne mein itni ehtiyat na kar
bikhar na jaun kahin main teri hifazat mein
yahan pe log hain mahrumiyon ke mare hue
kisi se kuchh nahin kahna yahan murawwat mein
Ghazal
Badal gaya hai sabhi kuchh us ek saat mein
Saleem Kausar