badal gai hai kuchh aisi hawa zamane ki
ki aam ho gai aadat nazar churane ki
ye baat kash samajhte sabhi chaman wale
chaman luTa to nahin KHair aashiyane ki
unhen KHabar nahin wo KHud bhi aazmae gae
jinhen thi fikr bahut mujh ko aazmane ki
koi kali na rahi phir bhi muskurae baghair
saza agarche muqarrar thi muskurane ki
hua yahi ki wo takmil tak pahunch na saka
bahut latif thi tamhid jis fasane ki
ek aap hi pe nahin munhasir janab-e-'nazir'
baDe baDon ko hawa lag gai zamane ki
Ghazal
Badal gai hai kuchh aisi hawa zamane ki
Nazeer Siddiqui