badal chuki hai har ek yaad apni surat bhi 
wo ahd-e-rafta ka har KHwab har haqiqat bhi 
kuchh un ke kaam nikalte hain dushmani mein meri 
main dushmanon ki hamesha se hun zarurat bhi 
kisi bhi lafz ne thama nahin hai hath mera 
main paDh ke dekh chuki aaKHiri ibarat bhi 
ye jis ne rok liya mujh ko aage baDhne se 
wo meri be-gharazi thi meri zarurat bhi 
meri shikasta-dili hi ba-ru-e-kar aai 
wagarna waqt to karta nahin riayat bhi 
main apni baat kisi se bhi kar na paungi 
mujhe tabah karegi ye meri aadat bhi 
main kaise baat bhala dil ki man lun 'shabnam' 
ki us ko mujh se mohabbat bhi thi adawat bhi 
ye mera ijz ki dil mein use utarne diya 
ye us ka man ki mangi nahin ijazat bhi
        Ghazal
Badal chuki hai har ek yaad apni surat bhi
Shabnam Shakeel

