badal chuke hain sab agli riwayaton ke nisab
jo the sawab-o-gunah ho gae gunah-o-sawab
numu ke bab mein wo bebasi ka aalam hai
bahaar mang rahi hai KHizan ruton se gulab
badal ke jam bhi hum to rahe KHasare mein
hamare pas lahu tha tumhaare pas sharab
mere kahe ko amanat samajhna mauj-e-hawa
main aane wale zamanon se kar raha hun KHitab
so meri pyas ka donon taraf ilaj nahin
udhar hai ek samundar idhar hai ek sarab
KHud aagahi ka saliqa sikha gaya 'anjum'
mere KHilaf mere doston ka istiswab
Ghazal
Badal chuke hain sab agli riwayaton ke nisab
Anjum Khaleeq