badal badal ke teri be-ruKHi ne dekha hai
ye hadsa bhi meri bebasi ne dekha hai
mujhe KHabar hai ki zulmat Thahar nahin sakti
mujhe pata hai ise raushni ne dekha hai
meri ghazal hai sulagte huon ne dekha hai
ki mera aks meri shairi ne dekha hai
mein jhum jhum gaya le ke aasra us ka
ki meri samt achanak KHushi ne dekha hai
bichhaD ke jaise dobara bhi aa mila hun use
kuchh is ada se mujhe zindagi ne dekha hai
jo pure chand se baDh kar hasin hai yaro
wo ek sitara hai jis ko sabhi ne dekha hai
ye raaz chhup nahin sakta hai meri basti ka
sitam ka sail-e-rawan har kisi ne dekha hai
tu jis bhi rup mein aae to jaan jaenge
KHayal-e-yar tujhe aashiqi ne dekha hai
wahi 'nisar-turabi' jabin ka hasil hai
wo ek sajda jise bandagi ne dekha hai

Ghazal
Badal badal ke teri be-ruKHi ne dekha hai
Nisar Turabi