baDa muKHlis hun paband-e-wafa hun
kisi ki sadgi par ro paDa hun
meri qimat zamin-o-asman hai
bahut anmol hun phir bhi bika hun
chhalakta jam hun phir bhi hun pyasa
main apne aap mein ek karbala hun
na jaane guftugu kya gul khilae
tumhaari KHamushi se jal gaya hun
kitab-e-dil ko dimak lag gai hai
tumhaara nam kya hai DhunDhta hun
hazaron dagh hain mere badan par
na jaane kis ke dil ka rasta hun
'kamal' is qatl-gah-e-raushni mein
hazaron bar main bujh kar jala hun
Ghazal
BaDa muKHlis hun paband-e-wafa hun
Abdullah Kamal