baDa KHushnuma ye maqam hai nai zindagi ki talash kar
tu na apne zehn ki baat kar nai dosti ki talash kar
tere aasman ka sar kabhi kisi aur zamin pe jhuk gaya
ye hua to aisa hua hi kyun kabhi us kami ki talash kar
kabhi KHwahishon ke hujum mein jo phisal gae hain mere qadam
jise pi ke dahr sambhal gaya usi mai-kashi ki talash kar
jo bahaar ko bhi aziz thi wahi sham lutf-o-surur ki
jise siskiyon ki nazar lagi usi zindagi ki talash kar
jahan aadmi ki baqa rahe jahan fikr-o-fan ko jila mile
jahan dard-e-nau ka pata mile wahan aagahi ki talash kar
na udas sham ke falsafe na bahaar-e-subh ki raunaqen
na asl zist ke zer-o-bam na to naghmagi ki talash kar
jo bhi guftugu ka usul hai usi baat ka tu KHayal rakh
nai kaenat ki justuju nai raushni ki talash kar
Ghazal
BaDa KHushnuma ye maqam hai nai zindagi ki talash kar
Afroz Alam