baDa kaThin hai rasta jo aa sako to sath do
ye zindagi ka fasla miTa sako to sath do
baDe fareb khaoge baDe sitam uThaoge
ye umr-bhar ka sath hai nibha sako to sath do
jo tum kaho ye dil to kya main jaan bhi fida karun
jo main kahun bas ek nazar luTa sako to sath do
main ek gharib-e-be-nawa main ek faqir-e-be-sada
meri nazar ki iltija jo pa sako to sath do
hazar imtihan yahan hazar aazmaishen
hazar dukh hazar gham uTha sako to sath do
ye zindagi yahan KHushi ghamon ka sath sath hai
rula sako to sath do hansa sako to sath do
Ghazal
BaDa kaThin hai rasta jo aa sako to sath do
Ata Shad