baDa hai dukh so hasil hai ye aasani mujhe
ki himmat hi nahin kuchh yaad karne ki mujhe
chala aata hai chupke se razai mein meri
buri lagti hai suraj ki ye bebaki mujhe
chhupata phir raha hun KHud ko main kis se yahan
agar pahchanne wala nahin koi mujhe
guzar jaegi sari zindagi ummid mein
na jine degi ye jine ki tayyari mujhe
agar kam bolta hun main to kyun bechain ho
tumhin se to lagi hai chup ki bimari mujhe
achanak kuchh hua hota to koi baat thi
na jaane kyun hui is darja hairani mujhe
Ghazal
BaDa hai dukh so hasil hai ye aasani mujhe
Shariq Kaifi