اردو हिंदी
BaDa ghurur hai pal bhar ki nek-nami ka | Shaahi Shayari
baDa ghurur hai pal bhar ki nek-nami ka

Ghazal

BaDa ghurur hai pal bhar ki nek-nami ka

Firaq Jalalpuri

;

baDa ghurur hai pal bhar ki nek-nami ka
riwaj aam hai is daur mein ghulami ka

amir-e-shahr ne dastar chhin li us ki
sila ajib diya rose ki salami ka

lab-e-furaat rahe pyase waris-e-zamzam
shikar akela nahin main hi tishna-kaami ka

basarat aisi basirat nawaz de allah
hamein sujhai de nukta hamari KHami ka

kabhi to aaina chehre ke ru-ba-ru aae
kabhi to lamha mayassar ho KHud-kalami ka

'firaq' ho gae patthar hamare donon panw
baDa tha naz hamein apni tez-gami ka