bad-talai ka ilaj kya ho
aazar bhi ho to la-dawa ho
aaine ki shakl KHud-numai ho
be-did ho surat-ashna ho
husn-e-namkin ko le ke chaTen
jab apni hi zist be-maza ho
ai dard-e-firaq ke marizon
gharra lage is tarah karaho
mahram ke jo band khol de yar
bangla mere haq mein dil-kusha ho
kya hai mujhe dete ho gilauri
chune mein kahin na sankhiya ho
dekhe na mizha ki sozan aise
se we jo kisi ka dil phaTa ho
qazi ko jo rind kuchh chaTa den
masjid ki baghal mein mai-kada ho
paya na mizaj mar miTe hum
kya jaaniye kis ke aashna ho
maghrur ho apne husn par yar
kya gham koi KHush ho ya KHafa ho
yar aae jo mere ghar murad aae
jagen jo nasib rat-jaga ho
sae se tumhaare bach ke chaliye
diwana banane ko bala ho
mashal na sawari mein rahe sana
ghoDa na kahin charagh-pa ho
wo chaal chalo ki dil ho tasKHir
hub ka tawiz naqsh-e-pa ho
chahun jo falak se farsh-e-matam
TuTa bhi na guhar mein na boriya ho
phir meri taraf phira wo qatil
tasma na kahin laga raha ho
jo ek kahoge do sunoge
parwah nahin KHush ho ya KHafa ho
mumtaz hain kushtagan-e-mashuq
hai ain karam agar jafa ho
wo meri jo boTiyan uDain
jarjis ka martaba ata ho
dam nikle hujum-e-gham mein kyun kar
kuchh bhiD chhaTe to rasta ho
duniya se uThe mariz-e-furqat
ai dar-e-masih tu asa ho
sabze mein chah-e-zaqan hai KHas-posh
aisa na ho KHizr se dagha ho
hum zaKHm-e-jigar nahin dikhate
aankhen na churao KHush-nigaho
pesh aao har ek se aaina-dar
begana ho ya ki aashna ho
sikho ye tariq-e-adamiyat
jo chaal chalo use nibaho
talwar abru ki wo KHaridi
jo muft sar apna bechta ho
chamke jo sitara-e-bulandi
taus-e-falak mujhe huma ho
ai 'bahr' nahin hai un talawwun tel
maftun na kisi ke KHal ka ho
Ghazal
Bad-talai ka ilaj kya ho
Imdad Ali Bahr