اردو
Bad-gumani jo hui shama se parwane ko | Shaahi Shayari
bad-gumani jo hui shama se parwane ko

Ghazal

Bad-gumani jo hui shama se parwane ko

Shad Lakhnavi

;

bad-gumani jo hui shama se parwane ko
shama ne aag rakhi sar pe qasam khane ko

har-dam aankhen hain khuli is liye rozon ki tarah
putliyon ka hun tamasha use dikhlane ko

mast be-KHud nahin diwana-e-hoshiyar hun main
us ko samjhaun jo aae mere samjhane ko

wo bachae to na aanch aae samundar ki tarah
magar parwana gire shama pe jal jaane ko

ashk-e-KHun dida-e-nasur se reni ki tarah
zaKHm-e-KHandan mujhe hans hans ke hain rulwane ko

dun-nawazi pe teri tuf falak dun-parwar
hans moti chuge tarse bashar ek dane ko

chahiye dast-e-junun taza KHarash-e-naKHun
rawish-e-sabza mere zaKHm hain murjhane ko

dost-daron ne kiya awwal-e-manzil aaKHir
had ke yar aae lahad tak mujhe pahunchane ko

ewaz-e-ashk bahaun main lahu aankhon se
zaKHm-e-KHandan mujhe hans hans hai rulwane ko

dafan-e-mayyat ke liye gard-e-malal-e-KHatir
araq-e-sharm hai kafi mere nahlane ko

jhonpaDe baada-kasho chahiye gulshan gulshan
chhawni si hai gulistan mein ghaTa chhane ko

chashm-poshon se rahun 'shad' main kya aaina-dar
munh pe kana nahin kahta hai koi kane ko