bad-guman mujh se na ai fasl-e-bahaaran hona
meri aadat hai KHizan mein bhi gul-afshan hona
mere gham ko bhi dil-awez bana deta hai
teri aankhon se mere gham ka numayan hona
kyun na pyar aae use apni pareshani par
sikh le jo teri zulfon se pareshan hona
mere wijdan ne mahsus kiya hai aksar
teri KHamosh nigahon ka ghazal-KHwan hona
ye to mumkin hai kisi roz KHuda ban jae
ghair mumkin hai magar shaiKH ka insan hona
apni wahshat ki numaish mujhe manzur na thi
warna dushwar na tha chaak-gireban hona
rahraw-e-shauq ko gumrah bhi kar deta hai
baz auqat kisi rah ka aasan hona
kyun gurezan ho meri jaan pareshani se
dusra nam hai jine ka pareshan hona
jin ko hamdard samajhte ho hansenge tum par
haal-e-dil kah ke na ai 'shad' pashiman hona
Ghazal
Bad-guman mujhse na ai fasl-e-bahaaran hona
Naresh Kumar Shad