bad-guman kya qabr mein arman tere le jaenge
hum akele aae hain jaise akele jaenge
kis qadar sabit qadam hain rah-rawan-e-dost
jaenge phir un ki koi jaan le le jaenge
hazrat-e-dil aur phir jaen na us ki bazm mein
jhiDkiyan de le koi ilzam de le jaenge
tum sata lo mujh ko lekin yun na har ek se milo
zulm sah lunga magar sadme na jhele jaenge
is gali mein Dal do ta sambhlen Thokar kha ke ghair
yun bhi ek din KHak mein aankhon ke Dhele jaenge
hai duaon ka asar sang-e-hawadis hi agar
apne hathon phir to ye sadme na jhele jaenge
KHair KHwahon raaz-daron ki bahut niyyat dekh li
aaj se hum us ki mahfil mein akele jaenge
be-kasi mein kaun kis ka sath deta hai safi'
milne wale hain tamashe ke ye mele jaenge

Ghazal
Bad-guman kya qabr mein arman tere le jaenge
Safi Aurangabadi