bachpan tha wo hamara ya jhonka bahaar ka
lauT aae kash phir wo zamana bahaar ka
khiDki mein ek gulab mahakta tha samne
barson se band hai wo daricha bahaar ka
kaliyon ka husn gul ki mahak titliyon ka raqs
hai yaad mujh ko aaj bhi chehra bahaar ka
arsa guzar gaya pa lage kal ki baat ho
us bagh-e-husn mein mera darja bahaar ka
daur-e-KHizan mein dil ke bahalne ka hai sabab
aankhon mein meri qaid nazara bahaar ka
kaliyan ko baghban hi masalta hai jab kabhi
rota hai zar zar kaleja bahaar ka
marzi pe gulsitan ki bhala kab hai munhasir
aana bahaar ka ya na aana bahaar ka
Ghazal
Bachpan tha wo hamara ya jhonka bahaar ka
Dinesh Kumar