bachpan mein is daraKHt pe kaisa sitam hua
jo shaKH is ki man thi wahan se qalam hua
munsif ho ya gawah manaenge apni KHair
gar faisla ana se meri kuchh bhi kam hua
ek raushni taDap ke ye kahti hai barha
kyun aasman ka nur ghaTaon mein zam hua
yak-laKHt aa ke aaj wo mujh se lipaT gaya
jo fasla dilon mein tha ashkon mein zam hua
Ghazal
Bachpan mein is daraKHt pe kaisa sitam hua
Mayank Awasthi