bachpan ki yaadon ko bhulae ek zamana bit gaya
hum ko des se bahar aae ek zamana bit gaya
galiyon aur bazaron mein main mara mara phirta hun
KHushiyon ki ek bazm sajae ek zamana bit gaya
meri taraf bhi chashm-e-karam ahbab kabhi farmaenge
un se ye ummid lagae ek zamana bit gaya
kis ko KHabar kab puri hogi KHwabon ki tabir mere
nindon ko palkon pe sajae ek zamana bit gaya
is duniya mein apne parae ki hai 'sahar' pahchan kise
mahfil-e-jaan mein mujh ko aae ek zamana bit gaya

Ghazal
Bachpan ki yaadon ko bhulae ek zamana bit gaya
Sahar Mahmood