bachpan ke hain KHwab suhane titli phul aur main
kahan se laen ab wo zamane titli phul aur main
nafrat se hai nafrat hum ko prit hamari rit
pyar ke hain anmol KHazane titli phul aur main
dard ruton ki KHushbu sanjhi ek hi jaisa rog
DhunD rahe hain sath purane titli phul aur main
jiwan-rah mein kaun kahan par bichhDe kya malum
mil lete hain kisi bahane titli phul aur main
chand sitare KHushbu shabnam sabza rang hawa
qudrat ke rangin fasane titli phul aur main
Ghazal
Bachpan ke hain KHwab suhane titli phul aur main
Aslam Faizi