bachche bhi ab dekh ke us ko hanste hain
us ke munh par rang birange sae hain
jalti aankhen le kar bhi itraata hun
sab ke sapne mere apne sapne hain
mera badan hai kitni ruhon ka maskan
meri jabin par kitne katbe likkhe hain
jab se kisi ne bich mein rakh di hai talwar
ham-sae bhi ham-sae se Darte hain
shahri bhanwre se kahna ai baad-e-saba
nim ke patte ganw mein ab bhi kaDwe hain
ek zara si Thes lagi aur TuT gae
dil ke rishte kitne nazuk hote hain
kis ko dikhaun apni nazar se tera rup
tere bhi to ek nahin sau chehre hain
Ghazal
Bachche bhi ab dekh ke usko hanste hain
Unwan Chishti