bachao daman-e-dil aise ham-nashinon se
mila ke hath jo Daste hain aastinon se
nigar-e-waqt ko itna to pairahan de do
chhupa le dida-e-pur-nam ko aastinon se
hamari fikr amanat hai subh-e-farda ki
saman hai dur ka dekho na KHurd-binon se
ab apne zaKHm-e-jabin ko chhupa bhi le ai dil
Tapak raha hai pasina kai jabinon se
tujhe hawa-e-muKHalif jaga diya kis ne
bahut qarib tha sahil kai safinon se
na jaane mujrim-e-zauq-e-nazar pe kya guzri
bhari thi rah-e-tamasha tamash-binon se
sukut-e-waqt muarriKH hai likh liya us ne
jo pattharon ne kaha be-KHata jabinon se
'shamim' anjuman-e-ahl-e-zar mein kya jaen
lahu ka rang jhalakta hai aabginon se
Ghazal
Bachao daman-e-dil aise ham-nashinon se
Shamim Karhani