اردو हिंदी
Bazi pe dil laga hai koi dil-lagi nahin | Shaahi Shayari
bazi pe dil laga hai koi dil-lagi nahin

Ghazal

Bazi pe dil laga hai koi dil-lagi nahin

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

bazi pe dil laga hai koi dil-lagi nahin
ye bhi hai koi baat kabhi han kabhi nahin

jis ne kuchh ehtiyat jawani mein ki nahin
aql-e-salim kahti hai wo aadmi nahin

dil mango to jawab hai un ka abhi nahin
goya abhi nahin ka hai matlab kabhi nahin

waiz ko lan-tan ki fursat hai kis tarah
puri abhi KHuda ki taraf lau lagi nahin

aashiq par un ka ek zara sa hai iltifat
aur wo bhi is tarah ki kabhi hai kabhi nahin

jaisa ki aap chahte hain shaKHs pak-o-saf
aisa to shahr bhar mein koi muttaqi nahin

tanha jiye to KHak jiye lutf kya liya
ai KHizr ye to zindagi mein zindagi nahin

hum sab hain rahgir tasadum ka kya sabab
duniya hai shahrah kuchh aisi gali nahin

dil mein nashat aae to chehra ho tabnak
jab tak janab chand nahin chandni nahin

'parwin' jalao sham-e-amal gor ke liye
suraj ka nur chand ke wahan chandni nahin