bazar ki fasil bhi ruKHsar par male
dud-e-charagh jo kisi shorab se jale
mathe ki bindi hath ki rakhi dua ke bol
bimar ke qarib masihai mein Dhale
kaghaz ki naw TuTa diya tash ka mahal
apne hain ham-jalis yahi chand manchale
itna to ehtimam rahe aarti ke sath
gehun ki fasl ke liye shorab bhi Dhale
'ahmad' ab aaftab ke andar bhi aaiye
tai ho chuke tamam ujalon ke marhale
Ghazal
Bazar ki fasil bhi ruKHsar par male
Ahmad Azimabadi