bazar-e-kainat mein ye faisla hua
yaran-e-KHush-ada ho tamasKHur rawa hua
bijli kaDak rahi thi ajab ehtimam se
bachcha duaen mang raha tha Dara hua
wahshat nahin junun nahin phir bhi iztirab
nau-waridan-e-ishq hua so to kya hua
aai thi dasht-e-qais mein ruswa hui chali
aawargi ke sath bhi kitna bura hawa
main shor karne wale qabile ka fard tha
par bolta nahin tha jabhi to KHuda hua
mahaul KHush-gawar hawa bhi thi taza-dam
ek phul dast-e-shaKH pe naghma-sara hua
teri hi guftugu se kiya paida ek KHayal
phir sher kahne lag gaya lahja naya hua
kal raat marka tha ajab darmiyan ka
meri to yar KHair hai duniya ka kya hua

Ghazal
Bazar-e-kainat mein ye faisla hua
Osaama ameer