baz bhi aao yaad aane se
kya milega hamein satane se
KHun-e-dil se diye jalae hain
ho ke guzro gharib-KHane se
kaisi be-raunaqi hai mahfil mein
ek is ke yahan na aane se
dar-e-dil wa kiya to wo aae
kaun aata hai yun bulane se
tujh se bichhDe to kab ye socha tha
is qadar honge be-Thikane se
hum to hairan hain ki kyun hum par
zulm hai aur har bahane se
rahne wala hi jab na ho 'azar'
faeda kya hai ghar sajaane se
Ghazal
Baz bhi aao yaad aane se
Rashid Aazar