bawre man ki bawri KHushbu
giton ghazlon si mohni KHushbu
mausam-e-ishq ka payam liye
aasmani si aashiqi KHushbu
ya KHuda kya hai sahiri tauba
KHud hi bhar-bhar ke lauTti KHushbu
gahri gahri si jhankti andar
man samundar ko napti KHushbu
kali raaton mein jaane gham kyun hai
lukti chhupti si sanwari KHushbu
ban ke alfaz har su raushan hai
'mir' ki jaise shaeri KHushbu
le ke jazbaat apne honTon pe
rah gai chup si bolti KHushbu
Ghazal
Bawre man ki bawri KHushbu
Aradhana Prasad