اردو हिंदी
Baaton mein DhunDte hain wo pahlu malal ka | Shaahi Shayari
baaton mein DhunDte hain wo pahlu malal ka

Ghazal

Baaton mein DhunDte hain wo pahlu malal ka

Sher Singh Naaz Dehlvi

;

baaton mein DhunDte hain wo pahlu malal ka
matlab ye hai ki zikr na aae visal ka

kya zikr un se kijiye dil ke malal ka
hai KHamushi jawab mere har sawal ka

ta umr phir na talib-e-jalwa hue kalim
dekha jo ek bar karishma jamal ka

ruKH par paDi hui hai naqab-e-shua-e-husn
mauqa nazar ko KHak mile dekh-bhaal ka

hum na-murad-e-ishq wo hijran-nasib hain
dekha na hum ne munh kabhi sham-e-visal ka

bud-o-nabud kahte hain ahl-e-jahan jise
adna sa shoabada hai tilism-e-KHayal ka