baaton mein DhunDte hain wo pahlu malal ka
matlab ye hai ki zikr na aae visal ka
kya zikr un se kijiye dil ke malal ka
hai KHamushi jawab mere har sawal ka
ta umr phir na talib-e-jalwa hue kalim
dekha jo ek bar karishma jamal ka
ruKH par paDi hui hai naqab-e-shua-e-husn
mauqa nazar ko KHak mile dekh-bhaal ka
hum na-murad-e-ishq wo hijran nasib hain
dekha na hum ne munh kabhi sham-e-visal ka
bud-o-nabud kahte hain ahl-e-jahan jise
adna sa shobada hai tilism-e-KHayal ka
Ghazal
Baaton mein DhunDte hain wo pahlu malal ka
Sher Singh Naaz Dehlvi