baaton baaton mein hi unwan badal jate hain
kitni raftar se insan badal jate hain
choriyan ho nahin patin to yahi hota hai
apni basti ke nigahban badal jate hain
koi manzil hi nahin Thahren muraden jis par
waqt badle bhi to arman badal jate hain
us ke daman se umidon ke gulon ko chun kar
zindagi ke sabhi imkan badal jate hain

Ghazal
Baaton baaton mein hi unwan badal jate hain
Vijay Sharma Arsh