baatil-o-na-haq se ummid-e-karam karte rahe
jo na karna tha hamein wo kaam hum karte rahe
zabt kar sakte the aaKHir zabt hum karte rahe
kaam tha jin ka sitam karna sitam karte rahe
zindagi-bhar muskurae be-sabab hum dosto
zindagi-bhar zist ki talKHi ko kam karte rahe
ai qaza tu der se aai magar KHush-amdid
umr-bhar hum yaad tujh ko dam-ba-dam karte rahe
umr-bhar hum ne kiya hai dusron ka ehtiram
yani KHud ko umr-bhar hum mohtaram karte rahe
umr paDhne likhne ki ghaflat mein guzri aur phir
zindagi-bhar hath arman-e-qalam karte rahe
kya namazen hain hamari kya hamari bandagi
khoT niyyat mein raha aur sar ko KHam karte rahe
Ghazal
Baatil-o-na-haq se ummid-e-karam karte rahe
Tanweer Gauhar