baaten karne mein to duniya mein sabhi hoshyar the
sath dete mushkilon mein wo to bas do-chaar the
hum se jo karte rahe wade hamesha be-shumar
waqt paDne par mukarne ko sada tayar the
zindagi ne hum ko di hain nematen yun to bahut
un ka sadupyog karne se hamin lachaar the
log jo apne faraez se rahe ghafil sada
mangte phir kis liye apne sabhi adhikar the
dete rahte the duhai jo hamesha pyar ki
pyar ki rahon mein wo ban kar khaDe diwar the
waqt-e-aKHir koi aata hai kisi ke kaam kab
kaam aae jo mere wo mere hi upkar the
hain ajab dastur mere desh mein ye in dinon
ghar mein chori jo karen wo ghar ke pahre-dar the
Ghazal
Baaten karne mein to duniya mein sabhi hoshyar the
Shobha Kukkal