baaten hain waizon ki azab o sawab kya
do din ki zindagi mein hisab-o-kitab kya
chahi wafa-e-wada to paya jawab kya
han kahiye to ye aap ne dekha hai KHwab kya
dil mein ghazab ke josh hain tauba ki KHair ho
karti hai dekhiye ye shab-e-mahtab kya
ye sab sahi ki zalzala hai ta-falak magar
shoKHi to apni dekh mera iztirab kya
us ne to jo likhkha so likha par ghazab ye hai
ek ek puchhta hai ki aaya jawab kya
achchha guman o wahm hamare ghalat sahi
kahiye to kahti hai nigah-e-pur-hijab kya
ai ham-nashin bhala wo agar sun ke haal-e-dil
kah den ki sab ghalat hai phir is ka jawab kya
karte hain log waiz o 'mail' pe tan kyun
pita nahin jahan mein koi sharab kya
Ghazal
Baaten hain waizon ki azab o sawab kya
Mirza Mayal Dehlvi