baat wo baat nahin hai jo zaban tak pahunche
aankh wo aankh hai jo sirr-e-nihan tak pahunche
qadr tazim kashish shauq mohabbat izhaar
rokiye dil ko na jaane ye kahan tak pahunche
dil ye har-gam pe kahta hai Thahar ghar hai yahi
farq se ta-ba-qadam aankh jahan tak pahunche
kis ko fursat hai sune dard-bhari hai rudad
kaun bechaargi-e-KHasta-dilan tak pahunche
jaan lena ye usi lamha ki dil TuT gaya
baat jab zabt se baDh jae fughan tak pahunche
muD ke dekha bhi nahin dil ke lahu ki jaanib
sher ki dad ye di husn-e-bayan tak pahunche
Ghazal
Baat wo baat nahin hai jo zaban tak pahunche
Syed Hamid