baat se baat ki gahrai chali jati hai
jhuT aa jae to sachchai chali jati hai
raat bhar jagte rahne ka amal Thik nahin
chand ke ishq mein binai chali jati hai
main ne is shahr ko dekha bhi nahin ji bhar ke
aur tabiat hai ki ghabrai chali jati hai
kuchh dinon ke liye manzar se agar haT jao
zindagi bhar ki shanasai chali jati hai
pyar ke git hawaon mein sune jate hain
daf bajati hui ruswai chali jati hai
chhap se girti hai koi chiz ruke pani mein
dur tak phaTti hui kai chali jati hai
mast karti hai mujhe apne lahu ki KHushbu
zaKHm sab khol ke purwai chali jati hai
dar o diwar pe chehre se ubhar aate hain
jism banti hui tanhai chali jati hai
Ghazal
Baat se baat ki gahrai chali jati hai
Shakeel Azmi