baat sach-much mein nirali ho gai
ab nasihat ek gali ho gai
ye asar hum par hua is daur ka
bhawna dil ki mawali ho gai
Dal din bhuke ko jis mein roTiyan
wo samajh puja ki thaali ho gai
tai kiya chalna juda jab bhiD se
har nazar dekha sawali ho gai
qaid ka itna maza mat lijiye
ro paDenge gar bahaali ho gai
ek amawas hi to thi apni hayat
mil gae tum to diwali ho gai
hath mein qatil ke 'niraj' phul hai
baat ab ghabrane wali ho gai
Ghazal
Baat sach-much mein nirali ho gai
Neeraj Goswami