baat saqi ki na Tali jaegi
kar ke tauba toD Dali jaegi
wo sanwarte hain mujhe is ki hai fikr
aarzu kis ki nikali jaegi
dil liya pahli nazar mein aap ne
ab ada koi na KHali jaegi
aate aate aaega un ko KHayal
jate jate be-KHayali jaegi
kya kahun dil toDte hain kis liye
aarzu shayad nikali jaegi
garmi-e-nazzara-bazi ka hai shauq
bagh se nargis nikali jaegi
dekhte hain ghaur se meri shabih
shayad us mein jaan Dali jaegi
ai tamanna tujh ko ro lun sham-e-wasl
aaj tu dil se nikali jaegi
fasl-e-gul aai junun uchhla 'jalil'
ab tabiat kuchh sambhaali jaegi
Ghazal
Baat saqi ki na Tali jaegi
Jaleel Manikpuri