baat mehndi se lahu tak aa gai
guftugu ab tum se tu tak aa gai
ab wo shaghl-e-chaak-damani kahan
ab tabiat to rafu tak aa gai
jaan jae yar hai ab Dar nahin
baat apni aabru tak aa gai
aarzu thi jis ko pane ki hamein
justuju us aarzu tak aa gai
buTe buTe se numayan hai bahaar
Dali Dali rang-o-bu tak aa gai
wasl ki shab aur itni muKHtasar
baaton baaton mein wuzu tak aa gai
Ghazal
Baat mehndi se lahu tak aa gai
Zafar Kaleem