baat kyunkar bane ummid bar aae kyun kar
nala pur-shor nahin aah sharar-bar nahin
aaj aate hain mere shikwon ka lene wo hisab
KHair hai hath mein un ke koi talwar nahin
mujh se nafrat sahi lazzat-kash-e-azar to hun
ghair bhi ghair hai wo KHugar-e-azar nahin
josh-e-masti mein chale aae kahan tum 'raqim'
ye to masjid hai chalo KHana-e-KHummar nahin

Ghazal
Baat kyunkar bane ummid bar aae kyun kar
Raqim Dehlavi