baat kuchh yun hai ki ye KHauf ka manzar to nahin
lash dariya mein ghanimat hai ki be-ghar to nahin
dur sahra-e-badan se nikal aaya hun magar
DhunDhta hun main jise wo mere andar to nahin
KHwahishen roz nai roz nai roz nai
ye mera zehn bhi aKHbar ka daftar to nahin
dur tak le gai kyun jumbish-e-angusht mujhe
main ishaare hi se phenka hua patthar to nahin
bhasmasur ban gai hai aaj mashini duniya
kaisi dastak hai jagat mohni dar par to nahin
Ghazal
Baat kuchh yun hai ki ye KHauf ka manzar to nahin
Tanha Timmapuri