اردو हिंदी
Baat kuchh bhi na thi kyun KHafa ho gaya | Shaahi Shayari
baat kuchh bhi na thi kyun KHafa ho gaya

Ghazal

Baat kuchh bhi na thi kyun KHafa ho gaya

Asghar Shamim

;

baat kuchh bhi na thi kyun KHafa ho gaya
jo tha apna mera ghair sa ho gaya

dhup shiddat ki thi chal paDa rah mein
man ka aanchal mera aasra ho gaya

mujh ko mauj-e-bala se koi Dar nahin
jab sahaara mera naKHuda ho gaya

ab to aankhon se aansu bhi bahte nahin
zulm jab un ka had se siwa ho gaya

dil mein 'asghar' ke KHushiyon ki barsat thi
hanste hanste wo kyun gham-zada ho gaya