baat kuchh bhi na thi fasana hua
meri ruswai ka bahana hua
thi ye KHwahish kahenge sab kuchh hum
un ke aage to lab bhi wa na hua
rose aati hai ek nai aafat
dil mera jab se aashiqana hua
kyun taDapta hai phir dil-e-muztar
kis bala ka ye phir nishana hua
tu ne chhoDa hai sath jab se nadim
hae dushman mera zamana hua
mar hi jaana tha hum ko to ek rose
un ki furqat magar bahana hua
aaj kahte hain bandh kar gaThri
gham ki 'maghmum' phir rawana hua
Ghazal
Baat kuchh bhi na thi fasana hua
Gorbachan Singh Dayal Maghmum