اردو हिंदी
Baat koi umid ki mujhse nahin kahi gai | Shaahi Shayari
baat koi umid ki mujhse nahin kahi gai

Ghazal

Baat koi umid ki mujhse nahin kahi gai

Jaun Eliya

;

baat koi umid ki mujh se nahin kahi gai
so mere KHwab bhi gae so meri nind bhi gai

dil ka tha ek muddaa jis ne tabah kar diya
dil mein thi ek hi to baat wo jo faqat sahi gai

jaaniye kya talash thi 'jaun' mere wajud mein
jis ko main DhunDhta gaya jo mujhe DhunDhti gai

ek KHushi ka haal hai KHush-suKHanan ke darmiyan
izzat-e-shaeqin-e-gham thi jo rahi-sahi gai

bud-o-nabud ki tamiz ek azab thi ki thi
yani tamam zindagi dhund mein Dubti gai

us ke jamal ka tha din mera wajud aur phir
subh se dhup bhi gai raat se chandni gai

jab main tha shahr zat ka tha mera har-nafas azab
phir main wahan ka tha jahan haalat-e-zat bhi gai

gard-fashan hun dasht mein sina-zanan hun shahr mein
thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gai

tum ne bahut sharab pi us ka sabhi ko dukh hai 'jaun'
aur jo dukh hai wo ye hai tum ko sharab pi gai