اردو हिंदी
Baat ko meri alag ho ke na sharmao suno | Shaahi Shayari
baat ko meri alag ho ke na sharmao suno

Ghazal

Baat ko meri alag ho ke na sharmao suno

Mushafi Ghulam Hamdani

;

baat ko meri alag ho ke na sharmao suno
kuchh kaha chahun hun main tum se idhar aao suno

main to jaane ka nahin ru-ba-ru us ke yaro
kuchh wo gar tum se kahe hai to tumhin jao suno

chheDne ko mere gar aap ka ji chahe hai
be-adab hun main mere haq mein jo farmao suno

baat bhi mano kisi ki koi ye bhi zid hai
apne aashiq ke tain itna na tarsao suno

gul-sanobar ka agar qissa hai tum pas miyan
paDhne wala bhi to maujud hun main lao suno

ai dil o dida maal is ka bura hi samjho
dekh kar us ke tain itna na lalchao suno

'mushafi' baat to kahne do zara qasid ko
pahle hi harf mein tum itna na ghabrao suno