baat ke sath hi maujud hai Tal ek na ek
hai KHilaf apne sada aap ke chaal ek na ek
hum bhi is waste baiThe hain ki ho rahta hai
tujh sahi sarw ke saye mein nihaal ek na ek
yar hai pas par ab fart-e-taraddud ke sabab
aa hi rahta hai mere dil ko malal ek na ek
main to har-chand bachata hun wa-lekin haihat
khub hi jata hai in aankhon mein jamal ek na ek
tujhe kuchh husn-parasti se nahin kaam wale
ho hi rahta hai mere ji ka zawal ek na ek
kya karun garche bhulata hun bahut main lekin
aa hi rahta hai tera mujh ko KHayal ek na ek
majlis-e-wajd mein paDh apni ghazal tu 'insha'
kar hi baiThega abhi sunte hi haal ek na ek
Ghazal
Baat ke sath hi maujud hai Tal ek na ek
Insha Allah Khan u0027Inshau0027