baat karni hai baat kaun kare
dard se do do hath kaun kare
hum sitare tumhein bulate hain
chand na ho to raat kaun kare
ab tujhe rab kahen ya but samjhen
ishq mein zat-pat kaun kare
zindagi bhar ki the kamai tum
is se zyaada zakat kaun kare

Ghazal
Baat karni hai baat kaun kare
Kumar Vishwas